- Sila huwa kapda pahenna. (Shaami: 8/219, Faslun Fil Ehraam)
- Khushki ke jaanwar ka shikaar karna. (Shaami: 8/212, Faslun Fil Ehraam)
- Badan ke kisi hisse (sar, daadhi, badan, zere naaf, moonchh wagaira) ke baal katarwaana ya mundaana. (Shaami: 8/217-218, Faslun Fil Ehraam)
- Naakhun kaatna. (Shaami: 8/213, Faslun Fil Ehraam)
- Khushbu ya tel lagaana. (Shaami: 8/213, Faslun Fil Ehraam; Shaami: 8/399, Baabul Jinaayaati Fil Haj)
- Hambistari karna ya us ki khwaahish ko ubhaarne waali koi baat ya harkat karna. (Shaami: 8/211, Faslun Fil Ehraam)
- Sar ya chehra dhaankna. (Shaami: 8/213, Faslun Fil Ehraam)
- Moze pahenna. (Shaami: 8/219, Faslun Fil Ehraam)
- Joon maarna. (Shaami: 8/480, Baabul Jinaayaati Fil Haj)
✿ Note: Haj ke waajibaat, sunan, mustahabbaat aur Madeenah Munawwarah ki haazri ke aadaab aur umrah ka mukammal tareeqa aur haj ke fazaail-o-masaail par moatabar ulma-e-kiraam ki likhi gayi kitaabein moatabar ulma ki rehnumaai mein padhna chaahiye aur un ki rehnumaai mein haj-o-umrah ke masaail aur ziyaarate harmain shareefain ke aadaab seekhna chaahiye taake mukammal taur par haj-o-umrah ki barkaat haasil hosakein.
Ref: Deeniyat Course book
❥❥ Share on:
0 comments:
Post a Comment