Pages

Friday, October 28, 2016

Gusl ka Sunnat Tareeqa

Sab se pehle paak hone ki niyyat kare, phir donon haath gatton tak dhoye, phir sharmgaah ko dhoye, phir badan par kahein naapaaki wagaira lagi ho to us ko dhoye, phir mukammal wuzu kare, phir sar par paani daale, phir daaein kandhe par paani daale, phir baaein kandhe par paani daale, phir baaqi badan par paani daale, isi tarah teen martaba poore badan par paani daale, saath saath badan ko male, saabun wagaira lagale. Is ka khaas khayaal rakhe ke agar nahaate waqt satar khula huwa ho to qible ki taraf rukh na karein. (Shaami: 1/443, Kitabuttaharat Sunanul Gusl)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Wednesday, October 26, 2016

Imaan-e-Mujmal

اٰمَنْتُ بِاللهِ كَمَا هُوَ بِأَسْمَائِهِ وَصِفَاتِهِ وَقَبِلْتُ جَمِيْعَ أَحْكَامِهِ

Aamantu billaahi kamaa huwa bi-asmaa-ihee wasifaatihee waqabiltu jamee-'a ahkaamih.

✺ Tarjama: Main Imaan laaya Allah par jaisa ke woh apne naamon aur sifaton ke saath hai aur main ne us ke tamaam ahkaam qubool kiye.

✺ Ref: (Deeniyat Course book)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Gusl kin cheezon se farz hota hai

1) Ehtelaam ka ho jaana. Neend mein mani ka nikalna, khwaah us ne khwaab dekha ho ya na dekha ho.
✺ (Shaami: 1/453, Kitaabut Tahaarah)

2) Bedaari mein shehwat ke saath mani nikalna.
✺ (Shaami: 1/453, Kitaabut Tahaarah)

3) Hambistari karna, chaahe mani na nikle.
✺ (Shaami: 1/458, Kitaabut Tahaarah)

4) Haiz ke khoon ka band hojaana.
✺ (Shaami: 1/470, Kitaabut Tahaarah)

5) Nifaas ke khoon ka band hojaana.
✺ (Shaami: 1/470, Kitaabut Tahaarah)

Peshaab ke raaste se peshaab ke alaawa teen cheezein aur nikalti hain:

1) Wadi: Woh chikna paani jo peshaab ke baad kabhi kabhi nikalta hai.

2) Mazi: Woh patla aur chikna paani jo shahwaani khayaalaat ya miyaan biwi ke bos wa kinaar ke waqt nikalta hai, us ke nikalne se josh aur khwaahish khatm nahin hoti.

3) Mani: Woh gaadhha aur chikna paani jo hambistari ya shahwat ke galbe par nikalta hai, us ke nikalne ke baad shahwat aur josh khatm ho jaata hai.

Note: Mani ke nikalne se gusl waajib ho jaata hai. Mazi, Wadi aur usi tarah aurat ko safed paani aane se wuzu toot'ta hai, gusl waajib nahin hota. (Shaami: 1/472, Sunanul Gusl)

Mas'ala: Jis shakhs par gusl waajib ho us ke liye Quran-e-Kareem ki tilaawat karna aur Masjid mein daakhil hona haraam hai. Albatta zikr wa tasbeeh aur masnoon duaaein padhna durust hai. (Shaami: 1/493, Sunanul Gusl)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp