Pages

Sunday, November 20, 2016

Namaaz ki tarkeeb

Namaaz ki tarkeeb

Namaaz padhne ke liye ba wuzu qible ki taraf rukh kar ke khade ho jaaye aur jo namaaz padhna ho us ki niyyat dil mein kar le, jaise Fajr ki namaaz ya Zohar ki namaaz padh raha hoon. Yeh niyyat zabaan se bhi kehna behtar hai. Niyyat karne ke baad donon haath donon kaanon ki lau tak uthha kar Takbeer-e-Tahreema "Allaahu Akbar" kahe aur donon haath naaf ke neeche baandh le.
Phir Sana padhe: "Subhaanakallaahumma wabihamdika watabaarakasmuka wa ta'aala jadduka walaa ilaaha gairuk",

phir Ta'awwuz "A'oozubillaahi minash shaitaanirrajeem" padhe,

phir Tasmiyah: "Bismillaahirrahmaanirraheem" padhe.

Phir Sura-e-Faatiha padhe,

Sura-e-Faatiha padhne ke baad aahista se "Aameen" kahe.

Phir Qur'aan-e-Kareem ki koi Surah padhe maslan: "Surah-e-Kausar"

Phir "Allaahu Akbar" kehte hue ruku mein jaaye,

phir ruku ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal 'azeem" kam se kam teen martaba padhe,

phir "Sami'allaahu liman hamidah" kehte huwe itmenaan se seedha khada ho jaaye,

phir "Rabbanaa lakal hamd" kahe, agar Imaam ke peeche ho to Imaam ke "Sami'allaahu liman hamidah" kehne ke baad "Rabbanaa lakal hamd" kahe.

Phir "Allaahu Akbar" kehte huwe sajde mein jaaye aur sajde ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal a'alaa" kam az kam teen martaba padhe,

Phir "Allaahu Akbar" kehte huwe doosre sajde mein jaaye aur sajde ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal a'alaa" kam az kam teen martaba padhe,

phir "Allaahu Akbar" kehte huwe doosri rakat ke liye seedha khada ho jaaye.

Phir "Sura-e-Faatiha" padh kar koi surah padhe maslan: "Sura-e-Ikhlaas"

aur isi tarah doosri rakat poori kar ke qa'ade mein baithh jaaye.

Phir Tashahhud padhe: "Attahiyyaatu lillaahi…" aakhir tak. Jab "Ash-hadu" par pahonche to beech ki ungli aur angoothhe se halqa bana le "Laa ilaaha" kehte huwe shahaadat ki ungli uthhaaye aur "Illallaah" par ungli jhuka de magar halqe ki haalat ko namaaz ke akheer tak barqaraar rakhe,

phir Durood Shareef padhe "Allaahumma Salli 'alaa Muhammadin…" aakhir tak,

phir Duaa-e-Maasoora padhe "Allaahumma innee zalamtu nafsi…" aakhir tak,

phir "Assalaamu 'alaikum wa rahmatullaah" kehte huwe pehle daayein jaanib salaam phere phir baayein jaanib, is tarah do rakat namaaz poori hui.

Agar teen ya chaar rakat waali namaaz padh raha ho to "Attahiyyat" ke baad fauran teesri rakat ke liye khada ho jaaye aur (farz namaaz ke alaawa) bataaye huwe tareeqe ke mutaabiq baqiya rakatein poori kar ke Qa'ada-e-Akheera mein baithh jaaye (Farz namaaz ki teesri aur chauthi rakat mein sirf Sura-e-Faatiha padhe aur koi surah na padhe) aur Attahiyyat, Durood Shareef aur Duaa-e-Maasoorah padhne ke baad salaam pher kar namaaz mukammal kare.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Namaaz ke Mufsidaat

Aisi cheezein jin se Namaaz toot jaati hai, inhein "Mufsidaat" kehte hain.

1) Namaaz ki haalat mein baat karna, jaan kar ho ya bhool kar, thodi ho ziyaada.

✺ (Shaami: 4/416, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

2) Namaaz se baahar waale kisi shakhs ki dua par "Aameen" kehna.

✺ (Shaami: 4/436, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

3) Kisi dard ya takleef ki wajah se karaahna ya aah, ooh ya uff karna.

✺ (Shaami: 4/432, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

4) Qur'aan Shareef dekh kar padhna.

✺ (Shaami: 4/451, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

5) Qur'aan-e-Majeed padhne mein aisi galti karna ke jis se maani kharaab ho jaaye.

✺ (Shaami: 4/479, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

6) Namaaz ki haalat mein koi aisa kaam karna jis ki wajah se dekhne waala yeh samjhe ke yeh shakhs Namaaz mein nahin hai.

✺ (Shaami: 4/454, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

7) Namaaz padhte huwe koi cheez kha lena.

✺ (Shaami: 4/449, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

8) Qible ki taraf se bagair kisi uzr ke seena pher lena.

✺ (Shaami: 4/464, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

9) Naapaak jagah par sajdah karna.

✺ (Shaami: 4/458, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

10) Namaaz mein koi farz chhod dena.

✺ (Shaami: 4/475, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

11) Imaam ki jagah se aage badh jaana.

✺ (Shaami: 4/460, Kitaabus Salaah, Baabul Imaamat)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Sunday, November 6, 2016

Wuzu ka Sunnat Tareeqa

Namaaz padhne se pehle paaki haasil karna zaroori hai. Is paaki ko "Wuzu" kehte hain.

✺ (Shaami: 1/223, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

1) Sab se pehle Allah ko khush karne aur paak hone ki niyyat karna.

✺ (Bukhari: 1; Shaami: 1/272, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

2) Paak aur saaf paani se Wuzu karna.

✺ (Abu Dawud: 83; Shaami: 2/20, Baabul Miyaah)

3) "Bismillaah" keh kar wuzu shuru karna.

✺ (Nasai: 78; Shaami: 1/278, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

4) Donon haath gatton tak teen martaba dhona.

✺ (Bukhari: 159; Shaami: 1/286, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

5) Miswaak karna aur agar miswaak na ho to ungli se daant saaf karna.

✺ (Bukhari: 887; Sunan-e-Kubra Baihaqi: 179, Shaami: 1/296, 302, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

6) Teen martaba kulli karna.

✺ (Bukhari: 159; Shaami: 1/306, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

7) Teen martaba naak mein paani daalna aur baayein haath ki chhoti ungli se naak saaf karna.

✺ (Bukhari: 185; Shaami: 1/306, 308, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

8) Teen martaba munh dhona, ek kaan ki lau se doosre kaan ki lau tak aur peshaani ke baalon se daadhi ki haddi ke neeche tak.

✺ (Bukhari: 159; Shaami: 1/235, Kitaabuttahaarah, Arkaanul Wuzu: 1/315, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

9) Teen martaba donon haath kohniyon ke oopar tak dhona, pehle daayaan haath dhona phir baayaan aur ungliyon ka khilaal karna.

✺ (Bukhari: 159; Shaami: 1/247, Kitaabuttahaarah, Arkaanul Wuzu: 1/315-332, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

10) Haath paani se geela kar ke poore sar ka, phir kaanon ka, phir gardan ka ek martaba masah karna.

✺ (Bukhari: 192, Tirmizi: 36, Talkhees-e-Habeer: 1/288, Baab Sunanul Wuzu; Shaami: 1/323-336, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

11) Teen martaba donon paaon takhnon se oopar tak dhona, pehle daayaan paaon phir baayaan aur ungliyon ka khilaal karna.

✺ (Bukhari: 159; Shaami: 1/247, Kitaabuttahaarah, Arkanul Wuzu; 1/315-332, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

12) Chehre, haath aur pair ko achchhi tarah ragad kar dhona.

✺ (Musnad-e-Ahmad: 16441; Shaami: 1/331, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

13) Wuzu ke baad ki dua padhna.

✺ (Tirmizi: 55; Shaami: 1/345, Kitaabuttahaarah, Sunanul Wuzu)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp