Pages

Sunday, November 20, 2016

Namaaz ki tarkeeb

Namaaz ki tarkeeb

Namaaz padhne ke liye ba wuzu qible ki taraf rukh kar ke khade ho jaaye aur jo namaaz padhna ho us ki niyyat dil mein kar le, jaise Fajr ki namaaz ya Zohar ki namaaz padh raha hoon. Yeh niyyat zabaan se bhi kehna behtar hai. Niyyat karne ke baad donon haath donon kaanon ki lau tak uthha kar Takbeer-e-Tahreema "Allaahu Akbar" kahe aur donon haath naaf ke neeche baandh le.
Phir Sana padhe: "Subhaanakallaahumma wabihamdika watabaarakasmuka wa ta'aala jadduka walaa ilaaha gairuk",

phir Ta'awwuz "A'oozubillaahi minash shaitaanirrajeem" padhe,

phir Tasmiyah: "Bismillaahirrahmaanirraheem" padhe.

Phir Sura-e-Faatiha padhe,

Sura-e-Faatiha padhne ke baad aahista se "Aameen" kahe.

Phir Qur'aan-e-Kareem ki koi Surah padhe maslan: "Surah-e-Kausar"

Phir "Allaahu Akbar" kehte hue ruku mein jaaye,

phir ruku ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal 'azeem" kam se kam teen martaba padhe,

phir "Sami'allaahu liman hamidah" kehte huwe itmenaan se seedha khada ho jaaye,

phir "Rabbanaa lakal hamd" kahe, agar Imaam ke peeche ho to Imaam ke "Sami'allaahu liman hamidah" kehne ke baad "Rabbanaa lakal hamd" kahe.

Phir "Allaahu Akbar" kehte huwe sajde mein jaaye aur sajde ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal a'alaa" kam az kam teen martaba padhe,

Phir "Allaahu Akbar" kehte huwe doosre sajde mein jaaye aur sajde ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal a'alaa" kam az kam teen martaba padhe,

phir "Allaahu Akbar" kehte huwe doosri rakat ke liye seedha khada ho jaaye.

Phir "Sura-e-Faatiha" padh kar koi surah padhe maslan: "Sura-e-Ikhlaas"

aur isi tarah doosri rakat poori kar ke qa'ade mein baithh jaaye.

Phir Tashahhud padhe: "Attahiyyaatu lillaahi…" aakhir tak. Jab "Ash-hadu" par pahonche to beech ki ungli aur angoothhe se halqa bana le "Laa ilaaha" kehte huwe shahaadat ki ungli uthhaaye aur "Illallaah" par ungli jhuka de magar halqe ki haalat ko namaaz ke akheer tak barqaraar rakhe,

phir Durood Shareef padhe "Allaahumma Salli 'alaa Muhammadin…" aakhir tak,

phir Duaa-e-Maasoora padhe "Allaahumma innee zalamtu nafsi…" aakhir tak,

phir "Assalaamu 'alaikum wa rahmatullaah" kehte huwe pehle daayein jaanib salaam phere phir baayein jaanib, is tarah do rakat namaaz poori hui.

Agar teen ya chaar rakat waali namaaz padh raha ho to "Attahiyyat" ke baad fauran teesri rakat ke liye khada ho jaaye aur (farz namaaz ke alaawa) bataaye huwe tareeqe ke mutaabiq baqiya rakatein poori kar ke Qa'ada-e-Akheera mein baithh jaaye (Farz namaaz ki teesri aur chauthi rakat mein sirf Sura-e-Faatiha padhe aur koi surah na padhe) aur Attahiyyat, Durood Shareef aur Duaa-e-Maasoorah padhne ke baad salaam pher kar namaaz mukammal kare.

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

0 comments:

Post a Comment